
Parmatama
Kya Sochta Tume , Jo Yeh Srishti Ko Banaya
Yeh Madhyam Bhara , Ashmit Ghata , Adhram Ka Kalyug Aaya
Na Jane Kya Hua , Kyon Badal Gayi Sari Fiza
Banaya Tha Jisne Yeh Jahan , Kahan Hai Woh Parmatama.
Yugo Yugo Se Jo Ajanma Hai
Yogo Yugo Se Jo Anant Hai
Har Prani , Har Jeev , Har Manav Ka
Wo Ek Param Pita Parmeshwar Hai.
Nindra Se Jo Aaya Hai
Nindra Magan Hi Wo Jayega
Janam Hua Jiska
Wo Moksh Bhi Payega.
Is Jeevan Aur Mirtyu Ke Satya Me
Kudh Ko , Youn Mat Ulgha
Dharm Ka Marg Chun
Aur Apna Karam Kiye Ja.
Apni Indriyon Ko Apne Wash Mein Kar ,
Aur Swam Hi Unke Wash Me Na Ho Ja
Apni Wasnayo Par Jeet Pa
Aur Swam Hi Apna Marg Darshan Karwa.
Mrityu Hi Jeevan Ka Antim Satya Hai ,
Tu Is Satya Se Nahin Bhag Paye Ga
Is Jeevan Ke Phele Bhi Tu Khud Ko Nahin Janta Tha
Aur Nahin Is Jeevan Ke Paschat Jan Payega.
Apni Wyakultayon Ke saath Youn Mat Bha Ja
Muniyon Ki Tarah Gyani Ban
Aur Is Gyan Ke Saagar Mein Doob Kar
Narayan Ka Chintan Kar.
To Dekha , Teri Mushkilon Ka Aant Ho Ga
Tu Kushi Ka Anubhav Kar Payega
Aur Jab Tujhe Narayan Ke Darshan Ho Gaye
Tab Tere Sawalon Ka Aant Bhi Ho Jayega.
No comments:
Post a Comment